Computer me Windows Driver Update Kaise kare
Computer me Windows Driver Update Kaise kare :
Hello dosto is post me main bataunga ki windows Driver Update kaise kare. Ye post kewal windows operating system ke liye hai. Ye ques mujhse kisi ne puchha tha, dosto jis tarah se har software chahe wo smart phone ka ho ya wo computer ka un sabhi ko samay samay pe update karna padta hai. Usi tarah se computer ke driver ko bhi update karna jaruri hai. Lekin driver ko update karna thoda mushkil hota. Aam taur pe log ise update nahi kar pate hain. Lekin main is post me bataunga ki kaise Windows driver update kare. Sabse pehle ye jan lete hai ki driver ko update na karne pe kya kya problems aa sakti hai-- Agar aapka driver update nahi to computer ke performance pe bura asar padta hai.
- Driver update na hone se display driver kabhi kabhi kam karna band kar deta hai, jisse windows 7 me black screen ki problem aati hai.
- Driver update karne se apne operating system ko adhik dino tak use kar payenge.
To chaliye jante hai ki kaise windows driver update kare :
Iske liye internet connection ki jarurat padegi. Sabse pahle aap driver booster software ko download kare yahan se aur install kare. Ye free aur best software hai jisse aap automatic apne computer ke sabhi driver ko update kar sakte hai.Download Here
Is software ko install karne ke bad run karate hi ..ye aapke computer ke sabhi driver ko online check karna shuru kar deta hai aur jo jo driver update nahi hoga use bataiga.
- Driver booster ko run karte hi aap scan par click kare.
- Ab scan karne ke bad jitney bhi driver out dated honge wo show karega.
- Ab aap usme se select kar ke update button pe click karnge to update hone lagega. Update hone ke bad ye automatic install bhi hoga , ab install hote samay hi aap wahi niche automatically reboot pc ko select kar sakte hain.
- Isse jab install poora ho jayega to computer automatic restart ho jayega.
- Jab aap sabhi driver update kar le tab computer ko restart kar de, aur kuchh der bad phir se restart kar de, kyunki driver update hone ke bad computer ko restart karna jaruri hota hai.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें